kaisi hai ye meri jindagi,
kaisi hai ye sajish,
gam ko hai mujse itni dosti,
ansuyo ko hai mujse aisa pyar
gamo ke taufe mujko mile,
tadapte huye pal mujko mile,
jeke fir karna kya mujko aisi jindagi,
chahkar bhi kuch kar na pau,aisi hai meri bebasi
kya khata mujse ho gayi,
khushi chahkar bhi mujse na mil payi,
kaisi kashmakash hai ye jindagi,
kabhi to ayegi khushi
dekhu darwaje ko har pal,
sochu ,tu ayega fir kabhi,
bhar dega wo jakhmo ko sabhi,
is vhram me jee raha hu abhi
dil karta hai muskurane ko,
thak gaya hu jeete huye aise lamho ko,
bas itni si hai meri khwaish,
chand lamho ke waaste hi sahi,
kat jaye teri baho me meri jindagi