Showing posts with label poetry(hindi). Show all posts
Showing posts with label poetry(hindi). Show all posts

Thursday, August 13, 2009

mai humesha chup rahunga...shhhhhhhh!!!!!


this is my 100th post.....i wanted to write sth very special,so i m doing it......

these are the lines from the movie KAL HO NA HO.....when naina knows the plan of aman and rohit in metro station and aman starts reading rohit's book,which is totally blank.......


"naina ...kash mai tumhe bata sakta mai tumhe kitna chahta hu.....1 sec rukkk.....

i love you,i love....i love  you very very much naina......aur likha hai.....

i love you and.......an'....mai aankhen band karta hu to tumhe dekhta hu....aankhen kholta hu to tumhe dekhna chahta hu,tum pass nahi hoti ho to tumhe charo taraf mehsoos karta hu....har pal...har ghari...har waqt...

mere naina meri naina ko dhundhti hai.... 

 ise pyar kaho pagalpan yaaa....mere dil ki dhadkan... mere liye ek hi baat hai......pyar to bahut log karte hai lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta ,kyunki kisi ke pass tum jo nahi ho.....

mai tumhe bhul nahi sakta naina....mai tumhe bhulna hi nahi chahta.....tum meri ho.....

mai tumhe pyar karunga ...zindagi bhar pyar karunga.....marte dum tak pyar karunga....aur aur...uske baad bhi....  thats' it"




"behet behet pyar karta hu mai usse
 dil ki....di' ki har ek nas se,
mere har nas me ek dil basa hai,
jo sirf aur sirf use chahta hai,
uski khushiyo ki dua mangta hai

jab bhi use dekhta hu,
pure badan ki dhadkane tez ho jati hai,
aisa lagta hai ...jaise...jai'...usne apne dono hatho se muje jakad liya ho,
muje chuh kar to dekho,
har jagah har us rom me sirf tera naam likha hai,teri hasi chupi hai,tere badan ki khushboo basi hai


par mai usse pyar nahi kar sakta,
kyu karu mai usse pyar...jab mai janta hu uski khushi koi aur hai,
fir bhi ek dil ko samjhaya ja sakta hai....maar sakta hu us ek dil ko,
par mujme to hajaro dil hai,
kaise samjhau in dilo ko,
ek khwaish hai tumse....pyar to tumse pa na saka,maut hi mujko de ja  tu.....maut hi mujko de ja  tu....."





Friday, June 26, 2009

khushiyo ko wo le gaya......


kaisa ye pyar ka rang hai,
jo tu mujpe chada gaya,
kaisa ye bechedne ka dard hai,
jo tu mujko de gaya

dil to wohi tha jisne mujko pyar diya
fir kaise wo mujko akela chod gaya
ab....
hatho ke chale dil me ubhar aye hai
aansuyo ke dhar me aankhon ki roshni beh gaye hai

soni soni akhiyo ko tu baha gaya
par is bhare dil ko tu soona kar gaya
sath sath ek kinare pe chalte chalte
kaise tu kinara badal gaya


pyar ka gunah mai tujse kar gaya
jaan na paya aisa kya gunah kiya
jo tu muje akela chod gaya
kyu tu muje tanha chod gaya


apne hatheli pe tere hath ko dhundta rahu
apne kandhe pe tere sar ko mehsoos na kar pau
tere badan ki khushbuu ab mujko nahi aati hai
hawa me behta  pallu ab nahi mujko chuta hai

tere is dil se mera dil tha har gaya
teri dhadkan mere dil ki dhadkan tha ban gaya
mere pyar ki aag ko tera kaleja bhuja gaya
yaad teri aa rahi hai
kaise ab tujo bhulau re .....
kaise tujse kiya pyar bhulau re....






Sunday, June 14, 2009

ishq ki dariya.....


mai wo hawa hu jisme tum saans leti ho
mai wo dariya hu jisme bhigta hai tera daman
humse tum khafa reh paogi kaise
humse dur reh paogi kaise

mai wo bindiya hu jise tum mathe pe lagati ho
mai wo parchayi hu jo tumhare sath chalta hai
khud se mujko alag kar paogi kaise
humko tum bhul paogi kaise

mai wo roshni hu jo tumhari aankhon me basta hai
mai wo khushbu hu jo tumhari saanso me rehta hai
mere bina ji paogi kaise
apne saanso ko rok paogi kaise

mai wo hasi hu jo tumhare hotho ko chuta hai
mai wo latte hu jo sehlata hai tumhare galo ko
humse aankhen chura paogi kaise
kyunki un aankhon me samaya kajal hu mai



Monday, June 1, 2009

o sajanji.....



kaise tuje mai samjhau
kitna mai chahu tumhe

milney to aao na
o sajni pass aao na
ek baar mere dil se  milke  dekho na
kabhi to ha kehke dekho na

y u always have to say no
although i can see ME in ur eyes
y do u have to hide your face
as if u are hiding ur emotions

kaise tuje mai samjhau
kitna mai chahu tumhe

mere dil se puchke dekho na
dhadkan ki dhun sunke to dekho na 
jara to pass aao na
mere karib to aao na

what are u scared of
are u scared of ur parents
or ME
what stops u from accepting me

tere bin rahe to kaise rahe
tere bin jiye  to kaise jiye
kare to ab kya kare
kuch to mujko batao na

meri aankhon me jara jhanko na
ho sake to ha kah do na

Thursday, April 30, 2009

dard maine jo tumko diye!!!!!!!!!

soni soni se zindagi thi meri
dhundhta tha kab wo ayegi
fir wo jo muje mili ek rah par
uske aanchal ki chao mujko chu gayi

wo kehti rahi dil me basta hoon main uske,
aitbaar na kiya maine uske batoon pe,
jhagarta raha jab bhi wo milne aati,
kaanto bhare pyar me wo roti rahi

dhyan na diya maine,
jab wo kehti rahi "hum chale jayenge",
kash mai khudko sambhal paata,
kash mai uske gum ko samajh paata

apne hatho se khushiyo ka gala maine ghot diya,
apne dil ke sukun ko bechen mai kar gaya,
wo achanak hai muje chod gaya,
in soni aankhon me aansu hai wo de gaya,

kitne aas usne mujse lagaye honge,
kitna pyar usne mujse kiya hoga,
jisne roshan ki meri zindagi,
uski aankhon ko dard mai de gaya

mere jaisa koi uski zindagi me na aaye,
uske hisse ke sare aansu mujko miley,
pyar me kisi ka bas to nahi,
par jisse bhi use pyar ho wo mai na hoo



Tuesday, April 7, 2009

is raat tu na ja!!!!!


pyar ki ye raat hai
ho rahi barsaat hai
kaisa ye tera dar hai
jab mai tere sath hu


kaisi madhosh raat hai
tuje chune ka man hai
kaisi teri ye jidd hai
muje chodke tu na ja


dekhu tuje jate huye
ae hawayo rok le meri jaan ko
bas ye meri khwaish hai
is raat tu na ja


kaise tuje mai samjhau
band jo karu mai ankhon ko
tu hi tu dekhe har jagah hai
is raat tu na ja



char palo ki ye jindagi hai
do pal ki khushi de ja muje
reh na paunga tere bin
is raat tu na ja


dekhu jo teri muskan mai
fulo se behta jal ho jaise
chupa le muje apne seene me
is raat tu na ja

Thursday, February 26, 2009

kam kam si hai...



ruk si gayi hai dil ki dhadkane
tham gaya ho waqt jaise
kam ho gayi hai ye pyar ki lau
jaise dhal rahi ho suraj ki roshni


ruk si gayi hai ye hawayee
tham gaya ho tumhari balo ka lehrana jaise
gumsum se hai ye panchiya
ruth gaya ho ye duniya jaise


bikhar gaya hu teri yaad me
samunder ki ret jaise
mar rahi hai dil ki khwaishey
patjhar ke patto jaise


Monday, February 2, 2009

kah na pau....

jab  ankhon se behte ye  ansu hai,
dhundhla sa lagey ye jaha hai,
kaisi ye kashmakash hai,
chahkar bhi na khoj pau tu kaha hai


chal raha hu dil me bojh liye,
kah na paya kitne julm hai tune kiye,
fir bhi dil ye mera kehta hai,
tu wo sukun hai jo mere dil me rehta hai


teri yadoon me jal raha hu,
dede mujko thoda sukun,
pyar jo muje de na saka tu,
maut hi ab mujko deja tu

Wednesday, January 21, 2009

gamo se bhare mausam.......

                                               "kitni dhundhli hai meri ye jindagi"

kaisi hai ye meri jindagi,
kaisi hai ye sajish,
gam ko hai mujse itni dosti,
ansuyo ko hai mujse aisa pyar


gamo ke taufe mujko mile,
tadapte huye pal mujko mile,
jeke fir karna kya mujko aisi jindagi,
chahkar bhi kuch kar na pau,aisi hai meri bebasi


kya khata mujse ho gayi,
khushi chahkar bhi mujse na mil payi,
kaisi kashmakash hai ye jindagi,
kabhi to ayegi khushi


dekhu darwaje ko har pal,
sochu ,tu ayega fir kabhi,
bhar dega wo jakhmo ko sabhi,
is vhram me jee raha hu  abhi


dil karta hai muskurane ko,
thak gaya hu jeete huye aise lamho ko,
bas itni si hai meri khwaish,
chand lamho ke waaste hi sahi,
kat jaye teri baho me meri jindagi


jab wo pal yaad ate hai........


hare huye hai mere zakham,
yaad mujko aa gaye fir wo gum,
chaha tha jisko khud se bhi jyada,
chod gaya hai mujko kahi


kaisi kashmakash hai ye meri,
usne hum se ki na kabhi dosti,
fir bhi pal rahi hai ek aas,
wo kabhi to ayega mere pass


jab wo gujre lamhe yaad ate hai,
hasi ke sang aansu bhi de jate hai,
kaise wo pal the jo kat gaye itni jaldi,
kaise ye pal hai jo kaante nahi katte


tere baatoon ko sunna mera,
tere narajgi bhi par hasna mera,
tere gusse me pyar ka jhalakna tera,
tere dukh me tadapna mera,
kaise tuje ye ehsaas dilau,
kitne yaad ate hai wo pal





Sunday, January 18, 2009

ye hai meri tamanna......


har pal aapki hotho pe muskan rahe,
har gum aapse dur rahe,
apko mile jo khushi humse dur rehkar,
wo khushi aapka daman kabhi na chode


maine diye hai tumhe itne gum,
maula bhi na kar paye jinko kam,
fir tum to ek insaan ho,
jaha bhi raho khush raho


badi muddat se chaha tha tuje,
ye nahi kahunga ke maine paya tha tuje,
par ye jarur kahunga,
jaha bhi tu rahe yaadein humari ayengi tuje


teri baaton me pyar dhudhta tha,
teri muskurahat me khushi dhundhta tha,
naadan hu ke ye bhi na samajh paya,
patthar  ke dil me jazbatoon ki kimat dhundhta tha


"dont worry guys m not in love ..... :)
 btw this is my 1st attempt in hindi "